Indian Bloggers ki Success Story in Hindi :- SimpleTips.com


Indian Bloggers ki Success Story in Hindi :- SimpleTips.com




🐸🐸🐸Hello Friends Welcome to SimpleTips.com..Me Narendra Mishal.. aaj  aapke liye blogger k baare me Ek Success Story  laya  hu..to chahiye jante he 🐸🐸🐸



Agar Aap Blogging me new ho to ye Article apki life change kar sakta hai aur Aap bhi blogging start karne ki soch sakte ho. Lekin agar aap blogging me thoda sa bhi time spent karte ho aur Blogging ke baare me thoda kuch bhi jante ho. To Aap Mr. Amit Agrawal ke baare me jarur jante hoge ‘The Father of Indian Blogging‘ Indian blogging ke Father.
Yes, Unhe Blogging ka father kaha jata hai. Kyuki Unhone Proved kar diya ki 2004 me bhi koi Blogging se paise kama sakta tha. Jabki us time kuch hi bloggers the jo Paise Kamane ke liye Blogging kiya karte the aur Mr. Amit Agrawal unme se ek the.
*Mr. Amit Agrawal*
Amit Agrawal ki Blogging journey aur Success story
 Amit Agrawal ne bhi apne professional career ki shuruat ek high Salary job se ki thi. Lekin Bahut jaldhi hi unhone Blogging ki Power ko mahsus kiya aur 2004 mein blogging ke future ko samjha. Ye aisa time tha ki blogging ke baare kewal ginti ke log hi jante the.
Lekin Goldman Sachs se job chhodne ke baad Amit Agrawal ne apne famous blog Digital Inspiration par aur jayada time diya. Google AdSense Program ne unki life ko badal hi diya aur wo apne blog se Bahut sare online paise kamane lage. Agar Aap unke blog ke baare me nahi jante ho to visit kare  labnol.org Baad me unhone iske naam ko change kar ke Digital Inspiration rakh diya.
To is tarah unka blog india ka sabse accha aur popular Tech blog ban gaya. Bahut sare Newspapers, Magazine aur popular media me unka naam aya. Agar Aaap google apps ke fan ho labnol.org aapke liye best place hai kyuki wo google apps ke baare har chij share karte hain.

Amit Agrawal Apne Blog se Kitne Paise Kamate hain?

Ye Iklaute (1 & only) aise indian Blogger jo AdSense se sabse jyada paise kamate hain. Bahut saare Pro-bloggers unki income report share kar rahe aur blogging ko promote kar rahe hain. Taki newbies blogging ki power ko samjhe.
Aapko aisa koi article nahi milega jisme Amit Agrwal ne apni income report share ki ho. Lekin search karne par aise bahut se article mil jayege jisme unki income report unke traffic aur rank ke adhar par batayi gayi hai.
Chaliye jante hain unke blog ka status:
Alexa Global Rank: 6953, India Rank: 1380
Facebook likes: 242 k
Income Sources: Adsense, Paid advertising
Estimated Earning: $60,000/month (approx)
Other Blogs
  • PODGALLERY.ORG
  • DICTATION.IO
  • HUNDREDZEROS.COM
  • ZERODOLLARMOVIES.COM
  • TECHSTORIES.ORG
  • SLEEPINGTIME.ORG
  • TALLTWEETS.COM
  • BLOGSCHOOL.IN
  • DIGITALINSPIRATION.COM
  • INDIANBLOGGERS.ORG

Amit Agrawal ki Blogging Success ka Secret kya hai?

Amit Agrawal ko jo sabse great advantage mila wo tha blogging start karne ka time. Kyuki 2004 me kuch hi log the jo blogging ke baare me jante the aur us time itna competition bhi nahi tha.  Aur unka blog Bahut acche se SEO
👉👉friends ye to thi amit sir k bare ....me aapko unuki tarah kam karne vale bloggers k bare me bhi  batata hu ... to chaliye jante he or jannkari blogger ki success story read now ...👈👈👈

*Gopal Mishra*

achhiKhabar ke Owner Gopal mishra hindi ke Best Blogger
Gopal Mishra ji aaj Hindi ki Blogging Dunia ke Badshah ban gye hai. Gopal ji ka Blog Achhikhabar.com bahut popular hai. Gopal ji ne Kabhi socha nhi tha ki veh is mukaam par pahunch jayenge par Yeh Gopal Mishra ji ki Mehnat or Lagan ka aur Gopal ji ki Mata ji ke Aashirwaad ka kamal hai. Ek Blogger ke Liye uske Visitors hi Bhagwaan Hote hai. Waise hi Gopal ji ne Visitors ko sabse Uper rakhte hue Unke Liye Ache Ache Blogs Likhe. Gopal Mishra ji ki sabse badi Uplabdhi hai ki aaj Lakho log Unke Blog padhte hai. Gopal Mishra ji ab Apni Naukri Chod kar Hindi me Blogging kar rahe hai.

Gopal Mishra ke baare me Kuch Personal Baatein:


Gopal Mishra ji Gorakhpur, UttarPradesh ke Rehne waale hai. Unhone apni 12th tak ki Education Apne Home-town Gorakhpur, UttarPradesh se Poori ki. Gopal Mishra ji ne apni Graduation University of Lucknow se Complete ki. Gopal Mishra ji Birla Institute of Management Technology se MBA complete kiya. Gopal ji ne Convergys me naukri ki. Gopal ji Achhikhabar.com ko poora time dena chahte the Isliye unhone ne Apni MNC Naukari Chod di.

Achhikhabar.com Ke baare Me:


Achhikhabar.com par aapko Hindi Stories, Self Improvement, Hindi Quotes, Health sambhandhit jankari di jaati hai. Achhikhabar.com ki har kahani bahut hi achi hai. Achhikhabar.com ke har ek User/Visitor ko Gopal Mishra ji ki kahaniyan padh kar bahut Anand aata hai.
  • Achhikhabar.com ka Global Rank- 49,609 or India me Rank 4,026 hai.
  • Achhikhabar.com ke Facebook page par 43,439 likes hai.
  • Achhikhabar.com ke Twitter par 42 Followers hai.
  • Achhikhabar.com ko Youtube par 2,634 logo ne Subscribe Kiya hua hai.

Achhikhabar.com Ka Success Mantra:


Gopal Mishra ji ka kehna hai ki AchhiKhabar.com ki success me wo akele nhi balki bahut se Log Involves hai. Jaise unki Mata ji, Wife, Unke Friends. Gopal Mishra ji Bahut Consistent or Humesha Achhikhabar.com ke baare me hi Sochte hai. Achhikhabar.com Gopal ji ka Passion hai. Agar koi kaam poore mann se ki jaaye to Usme safalta Jaroor milti hai.

Achhikhabar.com ki Income:


Achhikhabar.com ke Owner Gopal Mishra ji apni Income Share nhi karna chahte. Par aap log Is baat se hi andaja laga lijiye ki Achhikhabar.com par Daily Lakho log Visit karte hai. To Achhikhabar.com ki Income Bhi Bahut achi Hogi.

Achhikhabar.com par jaane ke Liye yahan Click kare


*Rohit Mewada*

Rohit Mewada ki Success Story hindi me
Rohit Mewada ne Hindi me Blog Likhkar Apna Career Banaya hai Unka Blog HindiMeHelp.com  hai. Is ke alawa Unhone ne Or Bhi Bahut si Achi Achi Websites Banayi hai. Unme se Ek Website BlogofBlogger.com hai. Rohit Mewada ko Logo ki Hindi Me Help karna bahut Pasand hai. Rohit Mewada Ek Mechanical Engineer hai. Rohit Mewada ko Computer me Bahut interest Tha to unhone Computer me hi Apne Career ko Banane ka Socha. Unhone ne Logo ki Madad karne ke Liye HindiMeHelp.com Banayi or Bahut Kamiyabi paayi. Rohit Mewada ne Apne Blog ka Naam HindiMeHelp Isliye Rakha Kyun ki veh Logo ki Hindi Me Help karna Chahte hain.

Rohit Mewada ke baare me Kuch Personal Baatein:


Rohit Mewada Bhopal, Madhya Pradesh ke Rehne waale hai. Unhone ne Apni Engineering Gyan Ganga Institute of Technology & Management, Bhopal se ki. Rohit Mewada ko Music, Books, Movies, aur Cricket ka Bhi Bahut Shouk hai.

HindiMeHelp.com Ke baare Me:


HindiMeHelp aapko Internet ki poori jankari Hindi me deta hai. HindiMeHelp par aapko Blogger, Blogging, WordPress, Social Networking, Youtube, Make Money, Internet, Computer, Mobile, Motivational se Judi Sabhi jankari aapko Milegi.
  • HindiMeHelp.com ka Global Rank- 138,215 or India me Rank 11,587 hai.
  • HindiMeHelp.com ke Facebook page par 7,100 likes hai.
  • HindiMeHelp.com ke Twitter par 403 Followers hai.
  • HindiMeHelp.com ko Youtube par 652 logo ne Subscribe Kiya hua hai.

HindiMeHelp.com Ka Success Mantra:


Rohit Mewada ji Humesha apne Visitors ke Liye Likhte hai. Apne Visitors ko Apne Dosto ki Tarah Batate hai or Unki help karte hai. Rohit Ji ne Paisa kamane ki sochne ki wajah Humesha logo ki madad karna chaha isiliye aaj veh is mukaam par hain.

HindiMeHelp.com ki Income ke Baare me main Aapko jada nhi bata paunga kyun ki Rohit Mewada ji ne Abhi tak Apne Blog ki Income ke Baare me Poori tarah se nhi bataya hai. Rohit Mewada ji ka Kehna hai ki Unki Income 6 Digit me hai.

Main aap Sabhi ko yahi Kehna Chahunga ki Rohit Mewada Ache Hindi Blogger hai. Aap HindiMeHelp ke sath Jude rahe.

HindiMeHelp.com par jaane ke Liye yahan Click kare

*Jume Deen Khan*

zume deen khan ki success Story hindi me Hindi Bloggers ki Success Story Hindi Me
Jume Deen Khan SupportMeIndia.com ke Founder hai. Jume Deen khan Rajasthan ke Rehne waale hain. Jume Deen ji ko Shuru se hi Internet ka Bahut Shok raha hai. Jume Deen Khan ko Logo ki Madam Karne me Bahut Khusi Milti hai. Logo ki Help karna Ab to Jume Deen Khan ki Hobby ban gyi hai. Jume Deen Khan ji ka Sirf yahi Blog nhi balki or Bhi Ache Blogs hai jaise SupportMeWorld.com, SupportmeHindi.com . Jume Deen Khan ki ek baat aapko bahut pasand aayegi ki veh kabhi bhi kisi bhi person ko Ignore nhi karte or Poori jankari ache se Dete hai.

SupportmeIndia ke Baare me:


SupportmeIndia.com aapko Blogging, WordPress, Make Money, Internet, SEO, Youtube, Blogspot etc. ki jankari Milegi. SupportmeIndia par Har Blog ki Apni Khud ki Alag Pehchan hai. Kyun ki har Blog me Unique or asani se samajh me aa jaane waali jankari hai.
  • SupportmeIndia.com ka Global Rank- 75,436 or India me Rank 6,633 hai.
  • SupportmeIndia.com ke Facebook page par 10,150 likes hai.
  • SupportmeIndia.com ke Twitter par 198 Followers hai.
  • SupportmeIndia.com ko Youtube par 150 logo ne Subscribe Kiya hua hai.

SupportmeIndia.com Ka Success Mantra:


Jume Deen khan apne Visitors ko bahut ache se Jankari Dete hai. Jume deen khan ji Apne Visitors se jada se jada der Jude rehte hai or unki sahayata karte rehte hai. Jume deen khan ji logo ki jaroorton par kaam karte hai or ache ache Blog Likhte hai.

SupportmeIndia.com ki Income:


Main aap Logo ko Yahi kehna Chahunga ki Income jan ne me har kisi ko bahut Interest hota hai. Har Blogger chahta hai ki Meri Income achi ho par Jume Deen khan humesha apne users ke Liye Likhte hai. Paisa kamane ke Liye nhi.
Jume Deen Khan ke Blog SupportmeIndia.com ki Income hai- 80,000 Rupees per month. Hum Dua karenge ki SupportmeIndia.com Din Prati Din Bahut Taraki kare. Or Jume Deen khan aise hi Ache ache Blog Likhte Rahe.

SupportmeIndia.com par jaane ke Liye yahan Click kare


Note: Agar Aap Bhi  Amit Sir ,Gopal Mishra, Rohit Mewada, Jume Deen Khan ki tarah Ache Blogger Ban na Chahte hai to SimpleTips.com ke Sath Jude Rahe. Optimized aur Crawler friendly hai.

HELLO FRIEND AGAR AAPKO YE POST AASCHI LAGI TO SOCIAL MEDIA PR JAROOR SHARE KARE ...

11 Comments

  1. Continuously National Courier contains all the substance/news stuff identifying with best and latest news including Politics, Sports, Business, Lifestyle, Opinion on current actuating issues and all Pakistan news charged on driving forward start.
    Success Stories

    ReplyDelete
  2. Bhai mai bhi blogging start kiya hu aur ye batao ki tumhe ab tak kitni income aa gai hai

    ReplyDelete

  3. Hey i looked into your content and i think it is a great piece of art
    i will for sure bring some of my friends to this blog post.
    Also check it out my new blog post here at the link below
    TV REPAIRING COURSE
    LED TV REPAIRING COURSE IN DELHI
    LED TV REPAIRING COURSE

    ReplyDelete
  4. आपका पोस्ट बहुत अच्छा है, धन्यवाद ! अगर किसी को Pay Per Click Advertising के बारे में अंग्रेजी में जानकारी चाहिए तो आप इस 7 Excellent Tips For Pay Per Click Advertising For Instant Traffic Boost पोस्ट को पढ़ सकते हैं |

    ReplyDelete
Previous Post Next Post